Momin Khan Momin

is wusat-e-kalam se ji tang aa gaya

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852
is vus.at-e-kalām se jī tañg aa gayā
nāseh tū merī jaan na le dil gayā gayā
zid se vo phir raqīb ke ghar meñ chalā gayā
ai rashk merī jaan ga.ī terā kyā gayā
ye zof hai to dam se bhī kab tak chalā gayā
ḳhud-raftagī ke sadme se mujh ko ġhash aa gayā
kyā pūchhtā hai talḳhi-e-ulfat meñ pand ko
aisī to lazzateñ haiñ ki tū jaan khā gayā
kuchh aañkh band hote hī āñkheñ sī khul ga.iiñ
jī ik balā-e-jān thā achchhā huā gayā
āñkheñ jo DhūñDtī thiiñ nigah-hā-e-iltifāt
gum honā dil kā vo mirī nazroñ se pā gayā
bū-e-saman se shaad the aġhyār-e-be-tamīz
us gul ko e'tibār-e-nasīm-o-sabā gayā
āh-e-sahar hamārī falak se phirī na ho
kaisī havā chalī ye ki jī sansanā gayā
aatī nahīñ balā-e-shab-e-ġham nigāh meñ
kis mehr-vash kā jalva nazar meñ samā gayā
ai jazb-e-dil na tham ki na Thahrā vo shola-rū
aayā to garm garm va-lekin jalā gayā
mujh ḳhānumāñ-ḳharāb kā likkhā ki jaan kar
vo naama ġhair kā mire ghar meñ girā gayā
mehñdī malegā paañv se dushman to aan kar
kyuuñ mere tafta siine ko Thokar lagā gayā
bosa sanam kī aañkh kā lete hī jaan dī
'momin' ko yaad kyā hajrul-asvad aa gayā
Top Urdushayar.com