Momin Khan Momin

sabr wahshat-asar na ho jae

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852
sabr vahshat-asar na ho jaa.e
kahīñ sahrā bhī ghar na ho jaa.e
rashk-e-paiġhām hai ināñ-kash-e-dil
nāma-bar rāhbar na ho jaa.e
dekho mat dekhiyo ki ā.īna
ġhash tumheñ dekh kar na ho jaa.e
hijr-e-parda-nashīñ meñ marte haiñ
zindagī parda-e-dar na ho jaa.e
kasrat-e-sajda se vo naqsh-e-qadam
kahīñ pāmāl-e-sar na ho jaa.e
mere taġh.īr-e-rañg ko mat dekh
tujh ko apnī nazar na ho jaa.e
mere aañsū na poñchhnā dekho
kahīñ dāmān tar na ho jaa.e
baat nāseh se karte Dartā huuñ
ki fuġhāñ be-asar na ho jaa.e
ai qayāmat na aa.iyo jab tak
vo mirī gor par na ho jaa.e
māna-e-zulm hai taġhāful-e-yār
baḳht-e-bad ko ḳhabar na ho jaa.e
ġhair se be-hijāb milte ho
shab-e-āshiq sahar na ho jaa.e
rashk-e-dushman kā fā.eda mālūm
muft jī kā zarar na ho jaa.e
ai dil āhista āh-e-tāb-shikan
dekh TukḌe jigar na ho jaa.e
'momin' īmāñ qubūl dil se mujhe
vo but āzurda gar na ho jaa.e
Top Urdushayar.com