Jafar Raza

chandni-raat mein sandal sa bikharta saya

Jafar Raza

1939
chāñdnī-rāt meñ sandal sā bikhartā saaya
ek aaseb kī sūrat nazar aayā saaya
sar pe sūraj hai magar hashr kā maidān nahīñ
jaane kyuuñ raah meñ qadmoñ se hai uljhā saaya
fard kī zaat meñ nādīda nazāre kī tarah
saa.e ke saath Tahaltā nazar aayā saaya
ye bhī vāraftagī-e-shauq meñ hotā hai gumāñ
abhī aayā hai mire paas mahaktā saaya
ye vahī log haiñ jo din meñ the mere jaise
shaam ke vaqt nazar aate haiñ saaya saaya
munjamid raushnī phūTī thī kisī chādar se
maiñ ne kal abr se chhantā huā dekhā saaya
kal tak is sāya-e-dīvār meñ dam miltā thā
zindagī lagtī hai ab ek khañDar kā saaya
Top Urdushayar.com