Momin Khan Momin

dil qabil-e-mohabbat-e-jaanan nahin raha

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852
dil qābil-e-mohabbat-e-jānāñ nahīñ rahā
vo valvala vo josh vo tuġhiyāñ nahīñ rahā
ThanDā hai garm-joshi-e-afsurdagī se jī
kaisā asar ki nāla-o-afġhāñ nahīñ rahā
karte haiñ apne zaḳhm-e-jigar ko rafū ham aap
kuchh bhī ḳhayāl-e-jumbish-e-mizhgāñ nahīñ rahā
dil-saḳhtiyoñ se aa.ī tabī.at meñ nāzukī
sabr-o-tahammul-e-qalaq-e-jāñ nahīñ rahā
ġhash haiñ ki be-dimāġh haiñ gul-pairahan namat
az-bas dimāġh-e-itr-e-garebāñ nahīñ rahā
āñkheñ na badleñ shoḳh-nazar kyuuñ ke ab ki maiñ
maftūn-e-lutf-e-nargis-e-fattāñ nahīñ rahā
nākāmiyoñ kā gaah gila gaah shukr hai
shauq-e-visāl o anduh-e-hijrāñ nahīñ rahā
be-tūda tūda-ḳhāk subuk-dosh ho ga.e
sar par junūn-e-ishq kā ehsāñ nahīñ rahā
har lahza mehr-jalvoñ se haiñ chashm-poshiyāñ
ā.īna-zār dīda-e-hairāñ nahīñ rahā
phirte haiñ kaise parda-nashīnoñ se muñh chhupā.e
rusvā hue ki ab ġham-e-pinhāñ nahīñ rahā
āseb-e-chashm-e-qahr-e-parī-tal.atāñ nahīñ
ai uns ik nazar ki maiñ insāñ nahīñ rahā
bekārī-e-umīd se fursat hai raat din
vo kārobār-e-hasrat-o-hirmāñ nahīñ rahā
be-sair-e-dasht-o-bādiya lagne lagā hai jī
aur is ḳharāb ghar meñ ki vīrāñ nahīñ rahā
kyā talḳh-kāmiyoñ ne lab-e-zaḳhm sī diye
vo shor-e-ishtiyāq-e-namak-dāñ nahīñ rahā
be-e'tibār ho ga.e ham tark-e-ishq se
az-bas ki pās-e-vāda-o-paimāñ nahīñ rahā
niiñd aa.ī hai fasāna-e-gesū-o-zulf se
vahm-o-gumān-e-ḳhvāb-e-pareshāñ nahīñ rahā
kis kaam ke rahe jo kisī se rahā na kaam
sar hai magar ġhurūr kā sāmāñ nahīñ rahā
'momin' ye lāf-e-ulfat-e-taqvā hai kyuuñ magar
dillī meñ koī dushman-e-īmāñ nahīñ rahā
Top Urdushayar.com