thī vasl meñ bhī fikr-e-judā.ī tamām shab
vo aa.e to bhī niiñd na aa.ī tamām shab
vaañ ta.ana tīr-e-yār yahāñ shikva zaḳhm-rez
bāham thī kis maze kī laḌā.ī tamām shab
rañgīñ haiñ ḳhūn-e-sar se vo haath āj-kal rahe
jis haath meñ vo dast-e-hinā.ī tamām shab
taalū se yaañ zabān sahar tak nahīñ lagī
thā kis ko shuġhl-e-naġhma-e-sarā.ī tamām shab
yak baar dekhte hī mujhe ġhash jo aa gayā
bhūle the vo bhī hosh-ruhā.ī tamām shab
mar jaate kyuuñ na sub.h ke hote hī hijr meñ
taklīf kaisī kaisī uThā.ī tamām shab
garm-e-javāb-e-shikva-e-jaur-e-adū rahā
us shola-ḳhū ne jaan jalā.ī tamām shab
kahtā hai mehr-vash tumheñ kyuuñ ġhair gar nahīñ
din bhar hamesha vasl judā.ī tamām shab
dhar paañv āstāñ pe ki is aarzū meñ aah
kī hai kisī ne nāsiya-sā.ī tamām shab
'momin' maiñ apne nāloñ ke sadqe ki kahte haiñ
un ko bhī aaj niiñd na aa.ī tamām shab