Momin Khan Momin

ye uzr-e-imtihan-e-jazb-e-dil kaisa nikal aaya

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852
ye uzr-e-imtihān-e-jazb-e-dil kaisā nikal aayā
maiñ ilzām us ko detā thā qusūr apnā nikal aayā
na shādī-marg huuñ kyūñkar hai muzhda qatl-e-dushman kā
ki ghar meñ se liye shamshīr vo rotā nikal aayā
sitam ai garmi-e-zabt-e-fuġhān-o-āh chhātī par
kabhū bas paḌ gayā chhālā kabhū phoḌā nikal aayā
kiyā zanjīr mujh ko chāra-gar ne kin dinoñ meñ jab
adū kī qaid se vo shoḳh-e-be-parvā nikal aayā
nikal aayā agar aañsū to zālim mat nikāl āñkheñ
sunā ma.azūr hai muztar nikal aayā nikal aayā
hamāre ḳhūñ-bahā kā ġhair se da.avā hai qātil ko
ye bād-e-infisāl ab aur hī jhagḌā nikal aayā
huī bulbul sanā-ḳhvān-e-dahān-e-tañg kis gul kī
ki farvardī meñ ġhunche kā muñh itnā sā nikal aayā
koī tiir us kā dil meñ rah gayā thā kyā ki āñkhoñ se
abhī rone meñ ik paikān kā TukḌā nikal aayā
dam-e-bismil ye kis ke ḳhauf se ham pī ga.e aañsū
ki har zaḳhm-e-badan se ḳhuun kā dariyā nikal aayā
ḳhadañg-e-yār ke hamrāh niklī jaan siine se
yahī armān ik muddat se jī meñ thā nikal aayā
bahut nāzāñ hai tū ai qais par vahshat dikhā.ūñgā
kitāboñ meñ kabhū qissa jo 'momin' kā nikal aayā
Top Urdushayar.com