Momin Khan Momin

shoKH kahta hai be-haya jaana

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852
shoḳh kahtā hai be-hayā jaanā
dekho dushman ne tum ko kyā jaanā
shola-e-dil ko nāz-e-tābish hai
apnā jalva zarā dikhā jaanā
shauq ne dūrbāsh-e-a.adā ko
us kī mahfil meñ marhabā jaanā
us ke uThte hī ham jahāñ se uThe
kyā qayāmat hai dil kā aa jaanā
ghar meñ ḳhud-raftagī se dhuum machī
kyūñke ho us talak mirā jaanā
pūchhnā hāl-e-yār hai manzūr
maiñ ne nāseh kā mudda.ā jaanā
mai na utrī gale se jo us bin
mujh ko yāroñ ne pārsā jaanā
shikva kartā hai be-niyāzī kā
tū ne 'momin' butoñ ko kyā jaanā
Top Urdushayar.com