jo tere muñh se na ho sharmsār ā.īna
to ruḳh kare sū-e-ā.īna vaar ā.īna
kahe hai dekh ke ruḳhsār-e-yār ā.īna
ki is safā.ī pe sadqe nisār ā.īna
siyāh-rū na kare tark-e-ulfat-e-gulfām
maiñ bul-havas ko dikhā.ūñ hazār ā.īna
safā.ī dil kī kahāñ qadr-e-tīra-rozī meñ
charāġh-e-sub.h hai shab-hā-e-tār ā.īna
samajh liyā magar is sabz rañg ko tuutī
ki hai nazāre kā ummīd-vār ā.īna
vo saḳht-jāñ huuñ ki dikhlā.eñ gar dam-e-murdan
to toḌ de kamar-e-kohsār ā.īna
muqābil us ruḳh-e-raushan ke khul ga.ī qal.ī
na Thahrā aag pe sīmāb-vār ā.īna
samā rahe haiñ magar tere nau-ba-nau jalve
ki ban gayā hai tilism-e-bahār ā.īna
shikast-e-rañg pe mastī meñ hañste haiñ ham bhī
dikhā.eñge unheñ vaqt-e-ḳhumār ā.īna
mujhe to kahte ho mat dekh merī jānib tū
aur aap dekhte ho baar baar ā.īna
balā hai man-e-vafā nuur uḌ gayā nāseh
tū le ke dekh to rañg-e-azār ā.īna
samajh tū 'momin' agar nāravā ho ḳhud-bīnī
to dekheñ kaahe ko parhez-gār ā.īna