dil jo murda ho to ye rashk-e-jināñ kuchh bhī nahīñ
laala ho sabza ho yā āb-e-ravāñ kuchh bhī nahīñ
ye dahakte hue ġhunche ye sulagte hue dil
har taraf soz-e-darūñ harf-e-zabāñ kuchh bhī nahīñ
pyāre dāman se judā ho ga.e maiñ ne dekhā
hasrateñ bolīñ miyāñ umr-e-ravāñ kuchh bhī nahīñ
lafz-o-ma.anī meñ jo rishta hai vo buniyādī hai
sirf alfāz kā ik sail-e-ravāñ kuchh bhī nahīñ
karda-nā-karda gunāhoñ meñ kaTī umr-e-azīz
log kahte haiñ ziyāñ varna ziyāñ kuchh bhī nahīñ
bārish-e-sañg ho shīshe kī kamīñ-gāhoñ se
kaise farzāne ho shīshe kā makāñ kuchh bhī nahīñ
ḳhvāb se ḳhvāb meñ ik umr giraftār rahā
ab khalā ḳhvāb ba-juz vahm-o-gumāñ kuchh bhī nahīñ