Momin Khan Momin

ho na betab ada tumhaari aaj

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852
ho na betāb adā tumhārī aaj
naaz kartī hai be-qarārī aaj
uḌ gayā ḳhaak par ġhubār apnā
ho ga.ī ḳhaak ḳhāksārī aaj
naza.a hai aur roz va.ada-e-vasl
hai bahar-taur dam-shumārī aaj
māna-e-qatl kyuuñ huā dushman
jaan hī jā.egī hamārī aaj
tere aate hī dam meñ dam aayā
ho ga.ī yaas umīd-vārī aaj
koī bheje hai dil ko pahlū meñ
kis ne kī us se ham-kinārī aaj
us ke shikve se hai asar zāhir
kuchh to kahtī hai āh-o-zārī aaj
ik na.ī aarzū kā ḳhuun huā
ham haiñ aur taaza sogvārī aaj
chhuT ga.e mar ke nesh-e-hijrāñ se
kaam aa.e hai zaḳhm-e-kārī aaj
bekasī kyuuñ hai na.ash par majma.a
kyā huī tū mirī piyārī aaj
bhūle hazrat nasīhat ai nāseh
hai kisī kī to yādgārī aaj
'momin' us but ko dekh aah bharī
kyā huā lāf-e-dīn-dārī aaj
Top Urdushayar.com