Momin Khan Momin

dekh lo shauq-e-na-tamam mera

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852
dekh lo shauq-e-nā-tamām mirā
ġhair le jaa.e hai payām mirā
be-asar hai fuġhān-e-ḳhūn-ālūd
kyuuñ na ho.e ḳharāb kaam mirā
ātishīñ ḳhū se ārzū-e-visāl
pak gayā ab ḳhayāl-e-ḳhām mirā
dekhnā kasrat-e-balā-noshī
kāsa-e-āsmā۔n hai jaam mirā
rutba uftādgī kā dekho hai
arsh ke bhī pare maqām mirā
kis sanam ko chhuḌā diyā vaa.iz
le ḳhudā tujh se intiqām mirā
ho ke yūsuf jo dil churāte ho
kaun ho jā.egā ġhulām mirā
us lab-e-lāl kī shikāyat hai
kyūñki rañgīñ na ho kalām mirā
tū ne rusvā kyā mujhe ab tak
koī bhī jāntā thā naam mirā
zānū-e-but pe jaan dī dekhā
'momin' anjām-o-iḳhtitām mirā
bandagī kaam aa rahī āḳhir
maiñ na kahtā thā kyuuñ salām mirā
Top Urdushayar.com