ai ārzu-e-qatl zarā dil ko thāmnā
mushkil paḌā mirā mire qātil ko thāmnā
tāsīr-e-be-qarāri-e-nākām āfrīñ
hai kaam un se shoḳh-e-shamā.il ko thāmnā
dekhe hai chāndnī vo zamīñ par na gir paḌe
ai charḳh apne tū mah-e-kāmil ko thāmnā
muztar huuñ kis kā tarz-e-suḳhan se samajh gayā
ab zikr kyā hai sāma-e-āqil ko thāmnā
ho sarsar-e-fuġhāñ se na kyūñkar vo muztarib
mushkil huā hai parda-e-mahmil ko thāmnā
sīkhe haiñ mujh se nālā-e-nai āsmāñ-shikan
sayyād ab qafas meñ anādil ko thāmnā
ye zulf ḳham-ba-ḳham na ho kyā tāb-e-ġhair hai
tere junūñ-zade kī salāsil ko thāmnā
ai hamdam aah talḳhi-e-hijrāñ se dam nahīñ
girtā hai dekh jām-e-halāhil ko thāmnā
sīmāb-vār mar ga.e zabt-e-qalaq se ham
kyā qahr hai tabī.at-e-mā.il ko thāmnā
āġhosh-e-gor ho ga.ī āḳhir lahūluhān
āsāñ nahīñ hai aap ke bismil ko thāmnā
siine pe haath dharte hī kuchh dam pe ban ga.ī
lo jaan kā azaab huā dil ko thāmnā
baaqī hai shauq-e-chāk-e-garebāñ abhī mujhe
bas ai rafūgar apnī anāmil ko thāmnā
mat māñgiyo amaan butoñ se ki hai harām
'momin' zabān-e-behūda saa.il ko thāmnā