ham-rañg lāġharī se huuñ gul kī shamīm kā
tūfān-e-bād hai mujhe jhoñkā nasīm kā
chhoḌā na kuchh bhī siine meñ tuġhyān-e-ashk ne
apnī hī fauj ho ga.ī lashkar ġhanīm kā
yārān-e-nau ke vāste mujh se ḳhafā hue
tum ko nahīñ hai paas niyāz-e-qadīm kā
yaad aa.ī kāfiroñ ko mirī āh-e-sard kī
kyūñki na kāñpne lage shola jahīm kā
az-bas-ki sabt-e-nāma hai soz-e-tap-e-darūñ
qāsid kā haath hai yad-e-baizā kalīm kā
vaa.iz kabhī hilā nahīñ kū-e-sanam se maiñ
kyā jānūñ kyā hai martaba arsh-e-azīm kā
maarā hai vasl-e-ġhair ke shikve pe chāhiye
madfan judā judā mirī lāsh-e-do-nīm kā
kahtā hai baat baat pe kyuuñ jaan khā ga.e
goyā ki pak gayā hai kaleja nadīm kā
vaa.iz butoñ ko ḳhuld meñ le jā.eñge kahīñ
hai vaada kāfiroñ se azāb-e-alīm kā
'momin' tujhe to vahb hai momin hī vo nahīñ
jo mo'taqid nahīñ tirī tab-e-salīm kā