ejāz-e-jāñ-dahī hai hamāre kalām ko
zinda kiyā hai ham ne masīhā ke naam ko
likkho salām ġhair ke ḳhat meñ ġhulām ko
bande kā bas salām hai aise salām ko
ab shor hai misāl jo dī us ḳhirām ko
yuuñ kaun jāntā thā qayāmat ke naam ko
aatā hai bahr-e-qatl vo daur ai hujūm-e-yās
ghabrā na jaa.e dekh kahīñ azhdahām ko
go aap ne javāb burā hī diyā vale
mujh se bayāñ na kiije adū ke payām ko
yaañ vasl hai talāfi-e-hijrāñ meñ ai falak
kyuuñ sochtā hai taaza sitam intiqām ko
tere samand-e-nāz kī bejā sharārteñ
karte haiñ aag nāla-e-andesha-kām ko
girye pe mere zinda-dilo hañste kyā ho aah
rotā huuñ apne maiñ dil-e-jannat-maqām ko
sah sah ke nā-durust tirī ḳhū bigāḌ dī
ham ne ḳharāb aap kiyā apne kaam ko
us se jalā ke ġhair ko ummīd-e-puḳhtagī
lag jaa.e aag dil ke ḳhayālāt-e-ḳhām ko
baḳht-e-sapīd ā.īna-dārī kare to maiñ
dikhlā.ūñ dil ke jaur us ā.īna-fām ko
jab tū chale janāza-e-āshiq ke saath saath
phir kaun vārisoñ ke sune izn-e-ām ko
shāyad ki din phire haiñ kisī tīra-roz ke
ab ġhair us galī meñ nahīñ phirte shaam ko
muddat se naam sunte the 'momin' kā baare aaj
dekhā bhī ham ne us sho.arā ke imaam ko