shab tum jo bazm-e-ġhair meñ āñkheñ churā ga.e
kho.e ga.e ham aise ki aġhyār pā ga.e
pūchhā kisī pe marte ho aur dam nikal gayā
ham jaan se ināñ-ba-inān sadā ga.e
phailī vo bū jo ham meñ nihāñ misl-e-ġhuncha thī
jhoñke nasīm ke ye nayā gul khilā ga.e
ai āb-e-ashk ātish-e-unsur hī dekhnā
jī hī gayā agar nafas-e-shola-zā ga.e
majlis meñ us ne paan diyā apne haath se
aġhyār sabz-baḳht the ham zahr khā ga.e
uTThā na zof se gul-e-dāġh-e-junūñ kā bojh
qārūñ kī tarah ham bhī zamīñ meñ samā ga.e
ġhairoñ se ho vo parda-nashīñ kyuuñ na be-hijāb
dam-hā-e-be-asar mire parda uThā ga.e
thī bad-gumānī ab unheñ kyā ishq-e-hūr kī
jo aa ke marte dam mujhe sūrat dikhā ga.e
tābinda o javān to baḳht-e-raqīb the
ham tīra-roz kyuuñ ġham-e-hijrāñ ko bhā ga.e
be-zār zindagānī kā jiinā muhāl thā
vo bhī hamārī laash ko Thokar lagā ga.e
vaa.iz ke zikr-e-mehr-e-qayāmat ko kyā kahūñ
aalam shab-e-visāl ke āñkhoñ meñ chhā ga.e
jis vaqt us dayār se aġhyār-e-bul-havas
bad-ḳhūiyoñ se yaar ke ho kar ḳhafā ga.e
duniyā hī se gayā maiñ jūñhī naaz se kahā
ab bhī gumān-e-bad na ga.e tere yā ga.e
ai 'momin' aap kab se hue banda-e-butāñ
baare hamāre diin meñ hazrat bhī aa ga.e