Momin Khan Momin

ghairon pe khul na jae kahin raaz dekhna

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852
ġhairoñ pe khul na jaa.e kahīñ raaz dekhnā
merī taraf bhī ġhamza-e-ġhammāz dekhnā
uḌte hī rañg-e-ruḳh mirā nazroñ se thā nihāñ
is murġh-e-par-shikasta kī parvāz dekhnā
dushnām-e-yār tab-e-hazīñ par girāñ nahīñ
ai ham-nafas nazākat-e-āvāz dekhnā
dekh apnā hāl-e-zār munajjim huā raqīb
thā sāzgār tāla-e-nā-sāz dekhnā
bad-kām kā ma.aal burā hai jazā ke din
hāl-e-sip.har-e-tafraqa-andāz dekhnā
mat rakhiyo gard-e-tārik-e-ushshāq par qadam
pāmāl ho na jaa.e sar-afrāz dekhnā
merī nigāh-e-ḳhīra dikhāte haiñ ġhair ko
be-tāqatī pe sarzanish-e-nāz dekhnā
tark-e-sanam bhī kam nahīñ soz-e-jahīm se
'momin' ġham-e-ma.āl kā āġhāz dekhnā
Top Urdushayar.com