Jafar Raza

dekhe to tamaddun ka banna koi urdu mein

Jafar Raza

1939
dekhe to tamaddun kā banñā koī urdu meñ
begāna mizājoñ kī hai dostī urdu meñ
alfāz na.e Dhāle kyā kyā na.ī urdu meñ
raa.ij mutabādil haiñ jin ke ka.ī urdu meñ
hai qaid ilāqe kī maz.hab kī na millat kī
milte haiñ dil-o-jāñ ke rishte ka.ī urdu meñ
zholīda-bayāñ vo haiñ pechīda zabāñ un kī
ik shart safā.ī kī bas rah ga.ī urdu meñ
hai tarjume ke bal par ye dām-zabāñ-dānī
ik kāvish-e-be-dānish phir phañs ga.ī urdu meñ
ab shāyad isī sūrat kuchh baat bane un kī
sochī thī jo english meñ tahrīr kī urdu meñ
ye un kī nigārish hai yā dūsroñ kī utran
ye saarī baḌī bāteñ haiñ kaun sī urdu meñ
dekhī jo mirī uchkan vo shoḳh pukār uTThā
jachne lage sarkār ab apnī na.ī urdu meñ
kyā ḳhuub hī jachtī hai in mashriqī kapḌoñ meñ
añgrezī meñ ye kyā thī kyā ho ga.ī urdu meñ
shikva na shikāyat hai pechīda bayānī kī
kyuuñ talḳh ye lahja hai kahiye bha.ī urdu meñ
Top Urdushayar.com