Momin Khan Momin

jun nikhat-e-gul jumbish hai ji ka nikal jaana

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852
juuñ nik.hat-e-gul jumbish hai jī kā nikal jaanā
ai bād-e-sabā merī karvaT to badal jaanā
pā-laġhz-e-mohabbat se mushkil hai sambhal jaanā
us ruḳh kī safā.ī par is dil kā bahal jaanā
siine meñ jo dil taḌpā dhar hī to diyā dekhā
phir bhuul gayā kaisā maiñ haath kā phal jaanā
itnā to na ghabrāo rāhat yahīñ farmāo
ghar meñ mire rah jaao aaj aur bhī kal jaanā
ai dil vo jo yaañ aayā kyā kyā hameñ tarsāyā
tū ne kahīñ sikhlāyā qaabū se nikal jaanā
kyā aise se daavā ho mahshar meñ ki maiñ ne to
nazzāra-e-qātil ko ehsān-e-ajal jaanā
hai zulm karam jitnā thā farq paḌā kitnā
mushkil hai mizāj itnā ik baar badal jaanā
hūroñ kī sanā-ḳhvānī vaa.iz yuuñ hī kab maanī
le aa ki hai nādānī bātoñ meñ bahal jaanā
ishq un kī balā jaane āshiq hoñ to pahchāne
lo mujh ko atibbā ne saude kā ḳhalal jaanā
kyā bāteñ banātā hai vo jaan jalātā hai
paanī meñ dikhātā hai kāfūr kā jal jaanā
matlab hai ki vaslat meñ hai bul-havas aafat meñ
is garmi-e-sohbat meñ ai dil na pighal jaanā
dam lene kī tāqat hai bīmār-e-mohabbat hai
itnā bhī ġhanīmat hai 'momin' kā sambhal jaanā
Top Urdushayar.com