Momin Khan Momin

hui tasir aah-o-zari ki

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852
huī tāsīr āh-o-zārī kī
rah ga.ī baat be-qarārī kī
shikva-e-dushmani kareñ kis se
vaañ shikāyat hai dost-dārī kī
mubtalā-e-shab-e-firāq hue
zid se ham tīra-rozgārī kī
yaad aa.ī jo garm-joshī-e-yār
dīda-e-tar ne shola-bārī kī
kyuuñ na Dar jā.ūñ dekh kar vo zulf
hai shab-e-hijr kī sī tārīkī
yaas dekho ki ġhair se kah dī
baat apnī umīd-vārī kī
bas ki hai yaar kī kamar kā ḳhayāl
sher kī sūjhtī hai bārīkī
kar de roz-e-jazā shab-e-dījūr
zulmat apnī siyāhkārī kī
tere abrū kī yaad meñ ham ne
nāḳhun-e-ġham se dil-figārī kī
qatl-e-dushman kā hai irāda use
ye sazā apnī jāñ-nisārī kī
kyā musalmāñ hue ki ai 'momin'
hāsil us but se sharmsārī kī
Top Urdushayar.com