vāda-e-vaslat se dil ho shaad kyā
tum se dushman kī mubārakbād kyā
kuchh qafas meñ in dinoñ lagtā hai jī
āshiyāñ apnā huā barbād kyā
nāla-e-paiham se yaañ fursat nahīñ
hazrat-e-nāseh kareñ irshād kyā
haiñ asiir us ke jo hai apnā asiir
ham na samjhe said kyā sayyād kyā
shoḳh-bāzārī thī shīrīñ bhī magar
varna farq-e-ḳhusrau-o-farhād kyā
nashsha-e-ulfat se bhūle yaar ko
sach hai aisī be-ḳhudī meñ yaad kyā
naala ik dam meñ uḌā Daale dhueñ
charḳh kyā aur charḳh kī buniyād kyā
jab mujhe ranj-e-dil-āzārī na ho
bevafā phir hāsil-e-bedād kyā
paañv tak pahuñchī vo zulf-e-ḳham-ba-ḳham
sarv ko ab bāñdhiye āzād kyā
kyā karūñ allāh sab haiñ be-asar
valvala kyā naala kyā fariyād kyā
in nasīboñ par kiyā aḳhtar-shanās
āsmāñ bhī hai sitam-ījād kyā
roz-e-mahshar kī tavaqqo hai abas
aisī bātoñ se ho ḳhātir shaad kyā
gar bahā-e-ḳhūn-e-āshiq hai visāl
intiqām-e-zahmat-e-jallād kyā
but-kada jannat hai chaliye be-hirās
lab pe 'momin' harche bādā-bād kyā