Momin Khan Momin

wade ki jo saat dam-e-kushtan hai hamara

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852
vaade kī jo saa.at dam-e-kushtan hai hamārā
jo dost hamārā hai so dushman hai hamārā
ye kāh-e-rubā se bhī haiñ kam ai kashish-e-dil
mazkūr kuchh aisā pas-e-chilman hai hamārā
afsos mū-e-sham-e-shab-e-vasl kī mānind
jo qahqaha shādī hai so shevan hai hamārā
mahtāb kā kyā rañg kiyā dūd-e-fuġhāñ ne
ahvāl shab-e-tār se raushan hai hamārā
detā nahīñ us zof pe bhī josh-e-junūñ chain
har reg-e-ravāñ dasht meñ tausan hai hamārā
tafrīh na kyūñkar ho havā aa nahīñ saktī
goyā dar o dīvār nasheman hai hamārā
gar paas hai logoñ kā to aa jā ki qalaq se
hai laash kahīñ aur kahīñ madfan hai hamārā
jazb-e-dil use khīñch ke laa.e to kahāñ laa.e
jo ġhair kā ghar hai vahī maskan hai hamārā
but-ḳhāne se kaabe ko chale rashk ke maare
'momin' ḳhizr-e-rāh barhaman hai hamārā
Top Urdushayar.com