Momin Khan Momin

ulTe wo shikwe karte hain aur kis ada ke sath

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852
ulTe vo shikve karte haiñ aur kis adā ke saath
be-tāqatī ke ta.ane haiñ uzr-e-jafā ke saath
bahr-ayādat aa.e vo lekin qazā ke saath
dam hī nikal gayā mirā āvāz-e-pā ke saath
be-parda ġhair paas use baiThā na dekhte
uTh jaate kaash ham bhī jahāñ se hayā ke saath
vo lāla-rū gayā na ho gulgasht-e-bāġh ko
kuchh rañg bū-e-gul ke evaz hai sabā ke saath
us kī galī kahāñ ye to kuchh bāġh-e-ḳhuld hai
kis jaa.e mujh ko chhoḌ ga.ī maut lā ke saath
aatī hai bū-e-dāġh-e-shab-e-tār hijr meñ
siina bhī chaak ho na gayā ho qabā ke saath
gulbāñg kis kā mashvara-e-qatl ho gayā
kuchh aaj bū-e-ḳhūñ hai vahāñ kī havā ke saath
the va.ade se phir aane ke ḳhush ye ḳhabar na thī
hai apnī zindagānī usī bevafā ke saath
kūche se apne ġhair kā muñh hai miTā sake
āshiq kā sar lagā hai tire naqsh-e-pā ke saath
allāh re gumrahī but o but-ḳhāna chhoḌ kar
'momin' chalā hai kaabe ko ik pārsā ke saath
Top Urdushayar.com