Jafar Raza

hujum-e-yas mein bhi aas jawedan Thahri

Jafar Raza

1939
hujūm-e-yās meñ bhī aas jāvedāñ Thahrī
ye apnī dhartī kī bū-bās-e-be-karāñ Thahrī
vo rokte rahe mulkoñ kī sarhadoñ ke pare
kashish diloñ kī to purvā.ī thī kahāñ Thahrī
ummīd-o-bīm meñ kitne kañval hue raushan
tumhārī chashm-e-taġhāful jahāñ jahāñ Thahrī
numūd-e-fikr ne kitne banā.e ret pe naqsh
maiñ kyā karūñ ki ye tasvīr be-zabāñ Thahrī
har ek kāsa-e-sar hai faqīr kā piyāla
zabāñ savālī-e-bekas to be-zabāñ Thahrī
vahī hayāt jo sab ke liye thī rāhat-e-jāñ
vahī mire liye ik marg-e-be-amāñ Thahrī
kahīñ ifāda kahīñ mol-tol kī bāteñ
ye fikr-e-nau to kisī baniye kī dukāñ Thahrī
Top Urdushayar.com