ġhussa begāna-vār honā thā
bas yahī tujh se yaar honā thā
kyā shab-e-intizār honā thā
nāhaq ummīd-vār honā thā
kyuuñ na hote aziiz ġhair tumheñ
merī qismat meñ ḳhvār honā thā
mujh se jannat meñ vo sanam na milā
hashr aur ek baar honā thā
gar na thī ai dil us ke ranj kī taab
kyuuñ shikāyat-guzār honā thā
ḳhaak hotā na maiñ to kyā kartā
us ke dar kā ġhubār honā thā
harza-gardī se ham zalīl hue
charḳh kā e'tibār honā thā
marg-e-shām-e-visāl-e-hirmāñ hai
sub.h-dam jāñ-nisār honā thā
aur se ham-kanār hai dushman
aaj to ham-kanār honā thā
shikva-e-dahr par kahā tum ko
āfat-e-rozgār honā thā
chashm-e-be-iḳhtiyār-e-jānāñ meñ
kyā mirā iḳhtiyār honā thā
sabr kar sabr ho chukā jo kuchh
ai dil-e-be-qarār honā thā
kū-e-dushman meñ jā pakaḌtā kyuuñ
kyā mujhe sharmsār honā thā
vo namak-pāsh bhī nahīñ hote
yuuñ hī dil ko figār honā thā
ḳhaak meñ haif ye sharāb mile
mohtasib bāda-ḳhvār honā thā
na gayā tīr-e-nāla sū-e-raqīb
murġh-e-arshī shikār honā thā
raat din baada o sanam 'momin'
kuchh to parhez-gār honā thā