Jafar Raza

aatish-e-fikr badan ghulta ho paiham jaise

Jafar Raza

1939
ātish-e-fikr badan ghultā ho paiham jaise
kisī nāgin ne kahīñ chāTī ho shabnam jaise
bas isī moḌ se kuchh aage hai manzil apnī
hādse maut nishān-e-rah-e-pur-ḳham jaise
barf-ālūda guloñ par ye chamaktī kirneñ
un kī hañstī huī āñkheñ huiiñ pur-nam jaise
mausam-e-gul meñ ye pattoñ ke khaḌakne kī sadā
nafas-e-umr kī āvāz ho maddham jaise
zaḳhm-e-dil roz kuredo to ho lazzat afzūñ
ik mudāvā hai ġham-e-yār ho marham jaise
os meñ Duube shagūfoñ kī udāsī kā dhuāñ
kisī bīmār kī āñkheñ huiiñ pur-nam jaise
āñkhoñ āñkhoñ meñ koī baat huī phūloñ meñ
apne gulshan kī fazā ho ga.ī barham jaise
husn hī husn hai kashmīr ke but-ḳhāne meñ
dūdhiyā chāñdnī phailī huī pūnam jaise
ḳhuub 'ja.afar'-razā ahbāb tumhāre haiñ ye
jo havāoñ se badal jaate haiñ mausam jaise
Top Urdushayar.com