nashtar sī dil meñ chubhtī huī baat le chaleñ
aa.e haiñ to ḳhulūs kī sauġhāt le chaleñ
vīrāniyoñ ke ghar meñ mirā dam hī ghuT na jaa.e
aa ai ḳhayāl-e-yār tujhe saath le chaleñ
jab raushnī thī chaltā thā saaya bhī saath saath
ab hai añdherī raat kise saath le chaleñ
jis meñ umīd-o-yās fareb-e-nazar rahī
is haft-ḳhvān-e-ġham kī rivāyāt le chaleñ
sham-e-umīd jis meñ farozāñ na ho sakī
ab us kī bazm-e-nāz meñ vo raat le chaleñ
kuchh bekasoñ ke ghar jale kuchh be-dayār haiñ
un ke huzūr ashkoñ kī barsāt le chaleñ
rañg-e-shafaq meñ ḳhūn-e-shahīdāñ hai jalva-gar
apne aziim mulk kī sauġhāt le chaleñ
apne nagar meñ bas yahī kircheñ haiñ har taraf
kuchh gauhar-e-talāfī-e-māfāt le chaleñ