Amardeep Singh

subh-dam hai ye tabiat kaisi

Amardeep Singh

Patiala, Punjab, India

1983
sub.h-dam hai ye tabī.at kaisī
ḳhair udāsī se shikāyat kaisī
kyā koī ḳhvāb abhī dekhā thā
aañkh maltī hai haqīqat kaisī
dil ne ik vasl-e-musalsal pā kar
talḳh kar lī hai mohabbat kaisī
be-dhaḌak dil ko dukhāyā kiije
is ināyat kī ijāzat kaisī
yaad aatā hai ḳhudā pal pal pal
aisī hālat meñ ibādat kaisī
ḳhud se do-chār huā karte haiñ
ham ko fursat meñ farāġhat kaisī
dil se utrā huā hai kyuuñ dil bhī
aisī bātoñ kī vazāhat kaisī
ḳhud se mansūb kiyā kyā kyā kuchh
shā.irī meñ hai suhūlat kaisī
ahl-e-dil aql ke dushman Thahre
ham ko ai dost nasīhat kaisī
zindagī ḳhud meñ 'amar' ḳhush thī bahut
maut ne kar dī sharārat kaisī
Top Urdushayar.com