burī baat un ko hamārī lage
hameñ un kī har baat pyārī lage
na.e tarz kī un kī yaarī lage
kareñ aisī bāteñ kaTārī lage
ye jharne ye laala ye sabza ye gul
chaman meñ har ik shai tumhārī lage
ye maj.hūl sī dostī kyā kareñ
hameñ dushmanī dil se pyārī lage
kalī sā badan hai ki mauj-e-bahār
vo sar se qadam tak kuñvārī lage
ye dil kī amānat baneñ to sahī
jo tīr-e-sitam baarī baarī lage
diloñ meñ jo utre to lahrā.e barq
nigāh-e-karam sehar-kārī lage
kisī ḳhūn-e-nāhaq kī gul-reziyāñ
chaman-dar-chaman lāla-kārī lage
ġhazal aisī kah dī hai jāfar-'razā'
raqībāñ ke dil par kaTārī lage