Jafar Raza

saz-e-hasti pe agar gao to kuchh baat bane

Jafar Raza

1939
sāz-e-hastī pe agar gaao to kuchh baat bane
sher ban jaa.eñ jo ye ghaav to kuchh baat bane
ye futūhāt-e-ḳhalā kyā haiñ ba-juz tār-e-harīr
zaat ke pardoñ ko sarkāo to kuchh baat bane
ahl-e-bīnash ho bane ivory-tower meñ to kyā
kabhī dīvānoñ se Takrāo to kuchh baat bane
zulmat-e-shab meñ ye tanhā.ī galā ghoñT na de
shīsha-e-karb hī chamkāo to kuchh baat bane
ilm-o-dānish kī mahaktī huī purvā.iyo kaash
mere siine meñ utar aao to kuchh baat bane
zulm kā saath na do maslahat-andeshī meñ
aao haq-goyoñ meñ aa jaao to kuchh baat bane
jism meñ ruuh kirā.e ke makāñ meñ jaise
ruuh ko apnā banā paao to kuchh baat bane
in razīloñ kī zabāñ-dānī ayāzan-billāh
sayyad-'inshā' ko bulā laao to kuchh baat bane
Top Urdushayar.com