Abdul Rahman Rasikh

kahan the shab idhar dekho haya kyun hai nigahon mein

Abdul Rahman Rasikh

kahāñ the shab idhar dekho hayā kyuuñ hai nigāhoñ meñ
agar manzūr hai rakh lo mujhe jhūTe gavāhoñ meñ
muvahhid vo huuñ gar maiñ sirr-e-vahdat kaan meñ kah duuñ
muazzin but-kade meñ hoñ barahman ḳhānqāhoñ meñ
nazar mujh se churā kar muñh chhupā kar kahte jaate haiñ
ki ye chorī bhī likkhī jā.egī tere gunāhoñ meñ
siyahkārī mirī ban jaa.e rashk-e-gesū-e-ḳhūbāñ
qayāmat ko chhupā baiThā rahūñ yārab gunāhoñ meñ
vahī 'rāsiḳh' to haiñ kal tak jo maiḳhāne ke darbāñ the
bane baiThe haiñ hazrat chaar din se dīñ-panāhoñ meñ
Top Urdushayar.com