itnī sī is jahāñ kī haqīqat hai aur bas
guftār zer-e-lab hai samā.at hai aur bas
kyuuñ āshnā-e-chashm ho dīdār-e-husn kā
ye girya-āzmā.ī to aadat hai aur bas
itne se jurm par to na mujh ko tabāh rakh
thoḌī sī mujh meñ terī shabāhat hai aur bas
us ko jazā sazā ke marāhil meñ de diyā
jis paas ek umr kī mohlat hai aur bas
aayā jo daur-e-dasht achānak hī sāmne
aisā lagā ki terī ijāzat hai aur bas
ham ne kahā ki ḳhatm hue sab muāmalāt
dil ne kahā ki kyā hai? qayāmat hai! aur bas
ā.īna-dār hoñ ki tirā parda-dār hoñ
pesh-e-nigāh terī mohabbat hai aur bas