Ibrahim Ashk

uski ek duniya hun main aur meri ek duniya hai wo

Ibrahim Ashk

Ujjain, Madhya Pradesh, India

1951
us kī ik duniyā huuñ maiñ aur merī ik duniyā hai vo
dasht meñ tanhā huuñ maiñ aur shahr meñ tanhā hai vo
maiñ bhī kaisā aa.ina huuñ ā.ina-dar-ā.ina
duur tak chehrā-ba-chehrā bas nazar aatā hai vo
us kī ḳhush-bū se mahak kar phuul ban jaatā hai dil
mausam-e-gul kī tarah aatā hai vo jaatā hai vo
zindagī apnī musalsal chāhatoñ kā ik safar
is safar meñ bār-hā mil kar bichhaḌ jaatā hai vo
ḳhvāb kyā hai ik khañDar hai ye khañDar kitnā hasīñ
is khañDar meñ sair karne ke liye aatā hai vo
maiñ sarāpā aarzū huuñ ārzū-e-nā-tamām
mujh ko har manzil se aage kī ḳhabar detā hai vo
husn kyā hai ik ġhazal hai 'ashk' ik taaza ġhazal
jaam hai miinā hai vo sāġhar hai vo sahbā hai vo
Top Urdushayar.com