duniyā luTī to duur se taktā hī rah gayā
āñkhoñ meñ ghar ke ḳhvāb kā naqsha hī rah gayā
us ke badan kā loch thā dariyā kī mauj meñ
sāhil se maiñ bahāv ko taktā hī rah gayā
duniyā bahut qarīb se uTh kar chalī ga.ī
baiThā maiñ apne ghar meñ akelā hī rah gayā
vo apnā aks bhuul ke jaane lagā to maiñ
āvāz de ke us ko bulātā hī rah gayā
hamrāh us ke saarī bahāreñ chalī ga.iiñ
merī zabāñ pe phuul kā charchā hī rah gayā
kuchh is adā se aa ke milā ham se 'ashk' vo
āñkhoñ meñ jazb ho ke sarāpā hī rah gayā