Ibrahim Ashk

zindagi wadi o sahra ka safar hai kyun hai

Ibrahim Ashk

Ujjain, Madhya Pradesh, India

1951
zindagī vaadī o sahrā kā safar hai kyuuñ hai
itnī vīrān mirī rāh-guzar hai kyuuñ hai
tū ujāle kī tarah aa ke lipaT jā mujh se
ik añdherā sā idhar aur udhar hai kyuuñ hai
roz miltā hai koī dil ko lubhāne vaalā
phir bhī tū hī mirā mahbūb-e-nazar hai kyuuñ hai
ghar kī tasvīr bhī sahrā kī tarah hai lekin
farq itnā hai ki dīvār hai dar hai kyuuñ hai
jis ko dekhūñ vahī barbād huā jaatā hai
aadmī kyā hai mohabbat kā khañDar hai kyuuñ hai
maiñ samundar huuñ magar pyaas hai qismat merī
mere dāman meñ agar 'ashk' guhar hai kyuuñ hai
Top Urdushayar.com