raat bhar tanhā rahā din bhar akelā maiñ hī thā
shahr kī ābādiyoñ meñ apne jaisā maiñ hī thā
maiñ hī dariyā maiñ hī tūfāñ maiñ hī thā har mauj bhī
maiñ hī ḳhud ko pī gayā sadiyoñ se pyāsā maiñ hī thā
kis liye katrā ke jaatā hai musāfir dam to le
aaj sūkhā peḌ huuñ kal terā saayā maiñ hī thā
kitne jazboñ kī nirālī ḳhushbueñ thiiñ mere paas
koī un kā chāhne vaalā nahīñ thā maiñ hī thā
duur hī se chāhne vaale mile har moḌ par
fāsle saare miTāne ko taḌapnā maiñ hī thā
merī aahaT sunñe vaalā dil na thā duniyā ke paas
rāste meñ 'ashk' be-maqsad jo bhaTkā maiñ hī thā