dekhā to koī aur thā sochā to koī aur
jab aa ke milā aur thā chāhā to koī aur
us shaḳhs ke chehre meñ ka.ī rañg chhupe the
chup thā to koī aur thā bolā to koī aur
do-chār qadam par hī badalte hue dekhā
Thahrā to koī aur thā guzrā to koī aur
tum jaan ke bhī us ko na pahchān sakoge
anjāne meñ vo aur hai jaanā to koī aur
uljhan meñ huuñ kho duuñ ki use pā luuñ karūñ kyā
khone pe vo kuchh aur hai paayā to koī aur
dushman bhī hai hamrāz bhī anjān bhī hai vo
kyā 'ashk' ne samjhā use vo thā to koī aur