shīshe kā aadmī huuñ mirī zindagī hai kyā
patthar haiñ sab ke haath meñ mujh ko kamī hai kyā
ab shahr meñ vo phuul se chehre nahīñ rahe
kaisī lagī hai aag ye bastī huī hai kyā
maiñ jal rahā huuñ aur koī dekhtā nahīñ
āñkheñ haiñ sab ke paas magar bebasī hai kyā
tum dost ho to mujh se zarā dushmanī karo
kuchh talḳhiyāñ na hoñ to bhalā dostī hai kyā
ai gardish-e-talāsh na manzil na rāsta
merā junūñ hai kyā mirī āvārgī hai kyā
ḳhush ho ke har fareb zamāne kā khā liyā
ye dil hī jāntā hai ki dil par banī hai kyā
do bol dil ke haiñ jo har ik dil ko chhū sakeñ
ai 'ashk' varna sher haiñ kyā shā.irī hai kyā