kiran kiran ke daraḳhshanda baab mere haiñ
tamām raushniyoñ ke nisāb mere haiñ
shaboñ ke sabz jazīre haiñ sab mirī aqlīm
tamām jāgtī āñkhoñ ke ḳhvāb mere haiñ
maiñ huuñ tamām dhaḌakte diloñ kā shaidā.ī
ye ābgīne ye nāzuk habāb mere haiñ
tamām umr taḳhātub mirā mujhī se rahā
savāl maiñ ne kiye haiñ javāb mere haiñ
ḳhudā-e-dasht kī taqsīm par maiñ raazī huuñ
ki āb-pāre tire haiñ sarāb mere haiñ
nasīb aaj haiñ kāñTe agar to kyā ġham hai
na.ī rutoñ ke shagufta-gulāb mere haiñ
maiñ āftāb ke mānind huuñ naqīb-e-'sahar'
siyāhiyoñ pe sabhī ehtisāb mere haiñ