na kū-e-yār meñ Thahrā na anjuman meñ rahā
adā-e-nāz se ye dil sarā-e-fan meñ rahā
hazāroñ tūfāñ uThā.e haiñ vaqt aane par
lahū bhī ḳhaas adā se mire badan meñ rahā
maiñ ek rañg thā rañg-e-ḳhayāl-e-āvāra
kisī dhanak meñ kisī rut ke pairahan meñ rahā
anā hī thī ki na jhukne diyā kabhī mujh ko
pahāḌ sar pe uThā kar bhī bāñkpan meñ rahā
vo maiñ hī thā ki koī aur thā nahīñ ma.alūm
tamām umr jo mere hī jaan o tan meñ rahā
safīr-e-jāñ ke liye manzileñ nahīñ hotīñ
koī paḌāv bhī aayā to vo thakan meñ rahā
uThī jo saif-e-sitam be-niyāz-e-maut-o-hayāt
qalam-ba-dast khaḌā vādī-e-suḳhan meñ rahā