anā ne TuuT ke kuchh faisla kiyā hī nahīñ
bayān apnā kabhī mudda.ā kiyā hī nahīñ
har ek shaḳhs ko insān hī rakhā ham ne
ki aadmī ko nazar meñ ḳhudā kiyā hī nahīñ
bas ek baar hī toḌā jahāñ ne ahd-e-vafā
kisī se ham ne phir ahd-e-vafā kiyā hī nahīñ
ka.ī dishāoñ se guzrā hai kārvān-e-hayāt
Thahar ke dil ko kahīñ mubtalā kiyā hī nahīñ
pahāḌ zulm-o-sitam ke hañsī meñ kaaT diye
adā-e-nāz ki koī gila kiyā hī nahīñ
chhuā jise bhī vahī lafz ban gayā tārīḳh
ki be-asar koī jumla adā kiyā hī nahīñ
tamām umr sañvārā ġhazal kī duniyā ko
ki 'ashk' ham ne kuchh is ke sivā kiyā hī nahīñ