Ibrahim Ashk

teri zamin se uThenge to aasman honge

Ibrahim Ashk

Ujjain, Madhya Pradesh, India

1951
tirī zamīñ se uTheñge to āsmāñ hoñge
ham aise log zamāne meñ phir kahāñ hoñge
chale ga.e to pukāregī har sadā ham ko
na jaane kitnī zabānoñ se ham bayāñ hoñge
lahū lahū ke sivā kuchh na dekh pāoge
hamāre naqsh-e-qadam is qadar ayaañ hoñge
sameT lījiye bhīge hue har ik pal ko
bikhar ga.e jo ye motī to rā.egāñ hoñge
uchāT dil kā Thikānā kisī ko kyā mālūm
ham apne aap se bichhḌe to phir kahāñ hoñge
haiñ apnī mauj ke bahte hue samundar ham
tamām dasht-e-junūñ meñ ravāñ-davāñ hoñge
ye bazm-e-yār hai qurbān jā.iye is par
sunā hai 'ashk' yahāñ dil sabhī javāñ hoñge
Top Urdushayar.com