vijdān meñ vo aayā ilhām huā mujh ko
maiñ bhuul gayā us ko vo bhuul gayā mujh ko
ab Duub hī jaane de itnā na girā mujh ko
sharminda na kar Daale tinke kī anā mujh ko
maiñ gum-shuda logoñ kī fehrist meñ dab jaatā
vo to mire dushman ne pahchān liyā mujh ko
is ahd meñ kyā rakkhā thā jis pe basar hotī
kyā hotā jo virse meñ miltā na ḳhudā mujh ko
itnī baḌī duniyā meñ kab se maiñ akelā huuñ
ai rabb-e-karīm apne bandoñ se milā mujh ko