fasīl-e-jism girā kar bikhar na jā.ūñ maiñ
yahī ḳhayāl hai jī meñ ki ghar na jā.ūñ maiñ
badan ke tapte jahannam meñ ḳhvāhishoñ kā safar
isī safar ke bhañvar meñ utar na jā.ūñ maiñ
huī tamām masāfat is ek ḳhvāhish meñ
ki ab vo laakh bulā.e magar na jā.ūñ maiñ
bikher detā hai kuchh aur jab bhī miltā hai
use to vahm yahī hai sañvar na jā.ūñ maiñ
vo jis kī chaah meñ dushvār manzileñ tai kiiñ
ḳhamosh us ke nagar se guzar na jā.ūñ maiñ
'naved' us se mirā rabt lafz o ma.anī kā
ye rābta na rahe gar to mar na jā.ūñ maiñ