Shamim Anwar

koi shai Dube to dariya mein lahar jage hai

Shamim Anwar

1948
koī shai Duube to dariyā meñ lahar jaage hai
kab azaañ murġh ke dene se sahar jaage hai
kañkarī maare se paanī meñ asar jaage hai
ik zarā ḳhvāhish-e-parvāz se par jaage hai
un ko mimbar kī bulandī se tashaffī na huī
jin kī āvāz pe tahrīk kā sar jaage hai
niiñd kī kaa.ī se bojhal hai har ik aañkh magar
sañg ke ḳhauf se shīshe kā nagar jaage hai
lazzat-e-dard samundar se nahīñ siip se pūchh
jis kī āġhosh meñ qatre se guhar jaage hai
rañg-o-roġhan ke badalne se bhalā kyā hāsil
nannhī kilkāriyāñ jaage hai to ghar jaage hai
phir ḳhañghalne ko hai kyā ḳhitta-e-nā-dīda koī
phir kaf-e-pā meñ sar-e-shuq-e-safar jaage hai
ghar ke pichhvāḌe mahaktī huī sargoshī se
kitne biite hue lamhoñ kā khañDar jaage hai
Top Urdushayar.com