Shamim Anwar

rida-e-ahani har aadmi ke sar par hai

Shamim Anwar

1948
ridā-e-āhanī har aadmī ke sar par hai
ki jaise sañg kī bārish isī nagar par hai
na kho jo muTThī meñ uñglī kisī kī ham-safaro
hamārā qāfila anjānī rahguzar par hai
bachā rahā thā jo kal raat kaalī āñdhī se
vo phal chaḌhā huā har shaḳhs kī nazar par hai
vo kaun roī thī kājal lagā ke āñkhoñ meñ
ye dhabba dhabba siyāhī ruḳh-e-sahar par hai
shikasta-hālī pe har iiñT jin kī hañstī hai
unheñ ġhurūr usī TuuTe phūTe ghar par hai
kab ehtirām kī ḳhātir jhukī mirī gardan
ki ik laTaktī sī talvār mere sar par hai
sadā lagā ke kabhī kā chalā gayā koī
ye bāzgasht sadā kyuuñ tumhāre dar par hai
zarā pata to lagā.eñ lahū hai kyuuñ taaza
jo ik zamāne se mahloñ ke is khañDar par hai
chhupā.e rakhnā thā aise ḳhushī ke mauqe par
vo ek daaġh jo peshānī-e-zafar par hai
baḌā hī ḳhauf lagā rahtā hai phisalne kā
safar hamārā abhī giilī rahguzar par hai
maiñ jhuuT kaise kahūñ sach to kah nahīñ saktā
kuchh hāshiya bhī lagā raat kī ḳhabar par hai
Top Urdushayar.com