Shamim Anwar

apna saya dekh kar main be-tahasha Dar gaya

Shamim Anwar

1948
apnā saaya dekh kar maiñ be-tahāsha Dar gayā
hū-ba-hū vaisā lagā jo mere hāthoñ mar gayā
halke se husn-e-tabassum kā bhī andāza huā
bojh saare din kā le kar jab maiñ apne ghar gayā
phal lade us peḌ par phir paḌ gayā pahra kaḌā
pattiyoñ ko chūmtā jab san se ik patthar gayā
kuchh makīnoñ meñ ajab tabdīliyāñ paa.ī ga.iiñ
us baḌī building meñ jab kuchh roz vo rah kar gayā
tīliyoñ kī saḳht-jānī aur mirī jidd-o-jahd
phir kahāñ parvāz kī ḳhvāhish rahe jab par gayā
apnī āzādī pe maiñ ik chor kā mashkūr huuñ
pair jis chādar meñ phailātā thā vo le kar gayā
Top Urdushayar.com