jo chehre ke bāhar hai vo andar na milegā
chuTkī meñ samundar kī samundar na malegā
dukh hogā sivā dukh ko numā.ish meñ sajā ke
har chehre pe hamdardī kā lashkar na milegā
sūkhe hue tālāb kī kyā jeb talāshī
sadiyoñ kā vo pheñkā huā patthar na milegā
vo kitnī dafa toḌ ke phir joḌā gayā hai
añgusht-e-nazar se tumheñ chhū kar na milegā
āñkhoñ ko kahīñ duur ḳhalā.eñ na uchhālo
khoyā huā sapnoñ kā samundar na milegā