Shuja Khaavar

dasht ko ja to rahe ho soch lo kaisa lagega

Shuja Khaavar

Delhi, India

1948-2012
dasht ko jā to rahe ho soch lo kaisā lagegā
sab udhar hī jā rahe haiñ dasht meñ mela lagegā
tiir ban kar ḳhair se har dil pe jab sīdhā lagegā
sher merā dushmanoñ ko bhī bahut achchhā lagegā
ḳhair hashr-e-ārzū par to tumhārā bas nahīñ hai
aarzū to kar lo yaaro aarzū meñ kyā lagegā
fasl-e-gul jo kar rahī hai sāmne hai dekh liije
maiñ karūñgā kuchh to naam ab merī vahshat kā lagegā
nsibatan hī Thiik hotī hai nazar kī baat maslan
ham nahīñ hoñge to har kotāh qad lambā lagegā
sarsarī andāz se dekhoge to mahfil hī mahfil
ġhaur se dekhoge to har aadmī tanhā lagegā
zindagī par ġhaur karnā chhoḌ doge jab 'shujā'
aah bhī degī mazā aur dard bhī mīThā lagegā
Top Urdushayar.com