phūloñ se chhup sakā hai kahīñ gulistāñ kā haal
ham jānte haiñ aaj hai jo is jahāñ kā haal
nazroñ meñ dār-o-gīr kā aalam hai aaj bhī
kis dil se ham batā.eñ tumheñ kārvāñ kā haal
bijlī kī zad meñ aa gayā fasl-e-bahār meñ
al-muḳhtasar yahī hai mere āshiyāñ kā haal
naqsha kisī kī bazm kā āñkhoñ meñ phir gayā
vaa.iz ne aaj chheḌā jo bāġh-e-jināñ kā haal
hai fikr gul kī is ko na kaliyoñ kā kuchh ḳhayāl
ham kyā batā.eñ aaj jo hai bāġhbāñ kā haal
be-bāl-o-par paḌā huuñ qafas meñ chaman se duur
kuchh to batāo mujh ko mire gulistāñ kā haal
mere hī gulistāñ kī nahīñ baat ai 'umīd'
hai ek hī sā aaj to saare jahāñ kā haal