Raghunath Sahai

raqs karte mastiyon ke sainkaDon aalam gae

Raghunath Sahai

1914
raqs karte mastiyoñ ke saiñkaḌoñ aalam ga.e
mahfil-e-jam ban ga.ī jis anjuman meñ ham ga.e
har alam se har balā se mil ga.ī dil ko najāt
jab se terā ġham milā hai apne saare ġham ga.e
aa ga.ī kyā jāniye phir kis masīhā-dam kī yaad
dard-e-paiham ruk gayā ashk-e-musalsal tham ga.e
chhā ga.iiñ rindān-e-mahfil par balā kī mastiyāñ
bazm meñ jis samt chhalkāte vo jām-e-jam ga.e
kaun kahtā hai fazā-e-dahr ab barham nahīñ
kaun kahtā hai tirī zulfoñ ke pech-o-ḳham ga.e
thā vo takiya ham faqīroñ kā hī ai hamdam jahāñ
jubba-sā.ī ko hazāroñ akbar-e-āzam ga.e
rah ga.e aġhyār sab hairān-o-shashdar ai 'umīd'
is adā se aaj un kī anjuman meñ ham ga.e
Top Urdushayar.com